die kaise tool room



die kaise banaye ye to me pehle bata chuka hu auto cad dawara
lekin aaj me aapko tool room me kase die banate hai iske bare me kuch jaankari
die bananae ke liye hame item ke anusar loha lana padta hai die steel me do chijo ko tyar kiya jata hai 1 punch uper ka hisse ko bola jata hai
2 die yani base plate ke uper wali plate ko bola jata hai
aur baki ki plate ms me banaya jata hai
die ki sari plato ko surface grinder se face kiya jata hai taki bale bilkul samtal ho sari plate surface hone ke baad die ke liye drill karke khali kiya kata hai
lekin gol die ko to lath machine pe kiya jata hai aur dusri die me to drill se khali kiya jata hai fir usme file yani reti se size banaya jata hai ye sabhi plate me kiya jata hai natbolt se jodne ke liya yani plate ko jodne ke liye drill karte hae fir tapping karte hai tapping se chudi kati jati hai pin lagane ke liy drill kiya jaata hai fir sabhi pale me drill tapping hone ke baad fitting ki jati hai 

Comments

Popular Posts