2d autocad

Aaj hum baat krenge curser mode ke bare me  Jab aap command window me commando ka paryog karte hai to curser aapko is baat ki jaankari pardaan karta hai ki aap is samy kya kar rahe hai curser ka arth yaha per mouse point se hai  Niman chitro me aap autocad ke antergat dikhai dene wale curser mod ko dekh sakte hai  Jab mouse point standard curser mode me hota hai to iska arth hai ki autocad aapke dawara diye jane wale nirdesho ki partiksha kar rahi hai jab aapko yah curser dikhai de aur aap object ko edit karna chahte hai to grip ka priyog karke yah karya kar sakte hai grip wastaw me us verg ko kahte hai jo curser ke bicho bich me dikhai deta hai  Aap autocad ke antergat mouse point ya curser point select mode me hota hai to iska arth hai ki autocad aapse point input ki apeksha rakh raha hai yah ruber bending line ke sath judne per bhi dikhai deti hai

Comments

Popular Posts